Wednesday, May 14, 2014

Parhna meri ghazal

Parhna meri ghazal, meri tehreer dekhna
Dil ka lahu hai, zeenat-e-tasveer dekhna

Hum badnaseeb they ki kati umr khwaab mein
Tum bamuraad khwaab ki taabeer dekhna

Azm-e-safar hai paas, to kis baat ki kami
Na faaslon ki fikar na zanjeer dekhna

Ab bhi hain lakh, khaka-e-bairang zehan mein
Ghaarat gard! Ye husrat-e-tameer dekhna

Lo wo bhi likh rahein hain shaheedo me apna naam
Ab jo dikhae khoobi-e-taqdeer dekhna

Maani badal gaye hain zamaane ke saath saath
Ulti hai lafz lafz ki tafseer dekhna

Kal tak jo tha sawaab, gunaah-e-azeem hai
Ain-e-sawaab ban gayi taqseer dekhna

Tareekiyo ke jism pe kirno ka hai libaas
Takhreeb-e-kaar thahri hai taameer dekhna

Bazaar misr shehr-e-khulooso wafa hai ab
Meenar-e-noor hajla-e-shab geer dekhna

Masnad nasheen qaatil-e-dauraan ke rubaroo
Naazaa kharey hai waqt ke shabbir dekhna

Aashaar sunke parne lagey abruon pe bal
Ajmal mere kalaam ki taaseer dekhna

                                                 Ajmal Ajmali

Monday, May 12, 2014

Har ujala nayi seher to nahi
Raat ki umr raat bhar to nahi

Aadmi chand gaam barh na sakey
Zindagi itni mukhtasar to nahi

Ik ujala sa saath rehta hai
Sochta hun teri nazar to nahi

Aik hungama hai bayaabaan mai
Koi amaadah safar to nahi

Waqt beshak azeem hai lekin
Mujhse tujhse azeemtar to nahi

Door kuch saaye se hain sehra mai
Raah gam kardah humsafar to nahi

Har khandar par gumaa guzarta hai
Meri yaadon ka ye nagar to nahi

Aap jo bhi kahen woh sach ajmal
Aap ab itney moatbar to nahi 

BETI

                                 BETI

Beti
Meri Beti
Tu mere maazi ka warsaa
Haal ki dawaat
Mustaqbil ki paak amaanat

Ja beti ja
Aaj tujhey mai
Apne,tere aur duniya ke mustaqbil ko saunp raha hu
Maazi,haal aur mutaqbil ke is rishtey ki laaj nibhana
Is rishtey ko bhool na jana
Ye rishta hum sab se bara hai
Ye rishta hum sab ka khuda hai

......................................................by: Ajmal Ajmali