Ajab safar tha kahin koi saaebaan na tha
Wo phir bhi saath chalega mujhey gumaan na tha
Hayaat yun to musalsal sawaal thi lekin
Tere karam se kara koi imtehaan na tha
Hum apneaap sitare taraashte aaye
Humare sar pe kabhi koi aasmaan na tha
Ye aur baat ki lab khud hi see liye maine
Tumhari bazm me main warna bezubaan na tha
Mai sar jhuka ke raha is dayaar me warna
Kisi makaan se neecha mera makaan na tha
Usey qareeb se dekha to ye bharam toota
Mera qusoor tha wo
mujhse badgumaan na tha
No comments:
Post a Comment