Monday, April 28, 2014

Har baar humne bhaag ke jungle me lee panaah
Har baar humko dhoond ke layi hain bastiyaan

Naagan ki tarah dasta hai har mor har gali
Apne nahi rahe to paraai hain bastiyaan

Har mor par khilaaye hain apne lahoo se phool
Yaaron bare jatan se sajaayi hai bastiyaan

Deewaron ka hisaar hi shayad naseeb hai
Sehra me saath dene ko aayi hain bastiyaan

Bechain dil na jaane tujhey kiski talaash hai
Veeraney raas aaye na bhaayi hain bastiyaan

Ab jeete ji pahunch na sakenge waha talak
Yaaron ne itni door basaayi hain bastiyaan

No comments:

Post a Comment